lekin is book ke writer ke 2 dadi the. unke rich dad unhe pese ki importance sikhate the or poor dad values ki . writer ko apne dono pita se kafi kuch sikhne ko mila jo vo is book me apne readers ke sath share krenge
• YE BOOK KYUN PADHNI CHAHIYE ?
ye book har us inshan ko padhni chahiye jo pesa kaam kese krta hai sikhna chahta hai.
• YE BOOK HUME KYA SIKHATI HAI ?
1. Ameer log pese ke liye kaam nhi krte balki pase unke liye kaam krta hai.
2. Ameer log assets me invest krte na ki liabilities me.
3. Ameer logo ka peso ke liye mindset.
• ISS BOOK KE WRITTER KON HAI ?
ROBART TIRU KIYOSAKI ek american businessman or writer hai. Ab tak 26 se jyada motivational or self help books likh chuke hai unme se rich dad poor dad sabse popular mani jati hai .
ROBART KIYOSAKI is book ke author ke 2 pita the .unke ek pita PHD holder the magar zindgi bhar gareeb rahe. Gareebi me hi mare isliye robart unhe poor dad bulate the . unke rich dad jo ki jada pade likhe nhi the lekin vo kafi ameer the robart unhe rich dad bulate the .
Ab ye sochne wali baat h ki kisi ke ek hi wakt me 2 pita kese ho sakte hain . unke poor dad jo ki unke khud ke pita the or rich dad unke dost mike ke pita the.
LESSION 1. Ameer log pese ke liye kaam nhi krte balki pasa unke liye kaam krta hai.
Ek baar ek aadmi tha jiske paas ek gadha tha jab bhi use apne gadhe se koi bhi kaam krvana hota vo gadhe ke samne ek gajar latka deta gadha use khane ke lalach me mehnat krta chla jata tha gadhe ko ummed thi ki vo ek din us gajar ko pa lega . Ab ye us admin ke liye achhi tarkif ban gyi. lekin bechara gadha jo kbhi us gajar ko nhi kha paya . isliye ki vo gajar bas ek chalava thi . 90% log usi gadhe ki tarah mehnat par mehnat krke sochte hain ki vo ek din ameer ban jayenge magar pesa unke liye bas ek sapna ban jata hai. 90% logo ko lgta hai jitni jada mehnat krenge utne jada ameer bnenge or ise hi robart RAT RACE kehte hai .
Ameer kya krte hain ?
Ameer mentality ke log pese ko aisi jagah invest krte hai jaha se unhe bina mehnat ke pesa aata rahe .
Example se samjhte hain - apple company ke CEO Tim cook apple me 15 se 20 ghante kaam krte hain uske baad unhe 130 crores dollar shalana milte hain wahi dusri taraf warren baffett ko apple campany ke 5.2 share se 1 lakh 10 hazaar crores dollar milte hain iska matlb ye nhi ki tim cook kam pese kmate hain iska simple sa matlb hain ki assets ya investing kitni jyada takatwar chij hai or yahi karan hai ki 90% rich log investing krte hain. or investing hi nhi balki aisi chijo me pese lgate hai jo unhe return me 5x ya 10x dete hain.
LESSION 2. Ameer log assets me invest krte na ki liabilities me.
- Aisa business jaha apki mojudagi jaruri nhi ho. Jo dusre aapke liye chlayen kyuki agar aap jada wakt waha denge to business nhi nokari hogi.
• real estate me pese lgaye.
• stock or bond kharide .
Assets vo chije hoti hain jo apke liye pese kmane ka kaam krti hain.
maan lo aap koi ghar kharidkar kiraye par dete hain usi kiraye se aap ghar ka loan bhi chuka skte h jo aapne ghar kharidne ke liye tha ab ghr bhi apka hua or kiraya bhi.
Iske ulat liabilities apka pesa kharch krati hain. Jese ki ghar kharidkar usme rehne se koi kiraya nhi milne wala.
Ab aap smjh gye honge assets kharidiye or gareeb rehna h to liabilities.
Ameer logo ke pass pesa isliye hota h ki iss principal par believe krte hain. Wahi dusri taraf gareeb log is principal ko samjh hi nhi paate.
Ab example ke liye author ( Robert ) ki patni ke perents ek bade ghar me sift ho gye unka sochna tha ki bada or nya ghar lena ek sahi faisla hai kyuki bakiyon ki taraf unhe bhi ghar lena ek status lgta tha. Magar ve ye jankar hairaan reh gye ki us ghar ka property tex 1000$ tha ye unke liye ek badi kimat thi. Or kyuki vo ritayar ho gye the to itna pesa tex ke rup me bharna unke ritayarment bajat ke bahar tha. Robert ka mtlb ye nhi ki hum bda ghar na le balki vo samjhana chahte hain ki jitne pese se aap bada ghar loge utne pese aap kisi assets me invest kare to behtar hoga. Apka assets apke liye pese kmayega or kuch samay baad apke paas itna pesa hoga ki aap manpasand ghar le paye vo bhi bina loan ke.
Ameer or jada Ameer kyu hote rehte hain wahi gareeb or middle class aage kyu nhi badh pate. Iska sidha sa karan hai Ameer assets kharidte hain or apna pese double triple krte hain. Gareeb or middle class mahine ki aakhiri tarikh ka wait krte hain Jab unki sellery aaye to sari sellery Kharcho ko pura karne me khatm ho jati hai to invest kaha se hoga or fir jab sellery badhti h us par tex bhi badh jata h or usi hisab se baaki kharche bhi last me wahi rat race chlti rehti hai.
LESSION 3. Ameer logo ka peso ke liye mindset.
Apko apne sabse bade assets yani apne dimag Ko invest krne ki jarurat hai. Apko financial intelligence hona padega . Isko ek example se smjhte hain 1990 ke dashak me Arizona Or fonix ke aarthik haalat thik nhi the. Aise me invester ko ek badhiya moka lga. Jo apni property aadhe rate me bech rahe the. Ve kayi invester ne haatho hath kharid li .
Author( Robert ) ne bhi 75000$ ka ghar sirf 20000$ me kharid liya. Iske baad unhone ek add (advertisment) diya 75000$ ka ghar bas 60000$ me. Costomers ki line lag gyi bas 5 ghanto me unhone 40000$ profit bna liya.
Hum do tarah ke invester dekhte hain pehle vo jo package investment kharidte hai or ye kafi aasan or bagair janjhat ka kaam krte hai.
Usre invester apne liye khud hi investment create karte hain inko aap professional bhi keh skte hain . Jitna ye invest krte hain usse kahi jada bana lete hain. Agar aap bhi isi tarah ke investor bnna chahte ho to 3 tarah ki skill samajhne ki jarurat hai.
1. Aisi opportunity dekhe jo dusre na dekh pa rahe ho.
2. Khud par invest kre.
3. Smart logo ko organise kriye unse advice lijiye .
Good
ReplyDeleteGood
ReplyDeleteThanks for advice ����
ReplyDelete